Kya ho saka kisi se madawa sakoot ka
Shehr-e-sada bana hai, kharaba sakoot ka
Nikla youn cheekhta huwa apnay daroon se mein
Atraaf mein bikhar gaya malba sakoot ka
Ab dair tak main bol sakon ga tere khilaf
Apna liya gaya hai jo lehja sakoot ka
Kya kya na dheyan mein rahi aawaz ki tarang
Jab khenchnay laga hon main naqsha sakoot ka
Gungay labon ne raaz wo afsha kiye k bas
Honay laga hai jab bhi khulasa sakoot ka
Ik baar hont cheer k nikla tha koi harf
Phir umr bhar wo sog manaya sakoot ka
Jab tak huwa nahi tha main Zeeshan lab kusha
Chaaya huwa yahan tha andhera sakoot ka
Poet; Zeeshan Illahi
Comments
Post a Comment