Haseen hai Sham yun jesay Koi Singhar karta hai

Haseen hai Sham yun jesay Koi Singhar karta hai
Dilon py Dobta Suraj kuch Aisay War karta hai

Hain Lab Khamosh Mathy par Shikan Aankho men Afsanay
Mujhy lagta hai Mohsin bi Kisi sy Pyar karta hai.

Ajab ye dil, Ajab tar Silsile is Dil k Dekhy hen,
Tamasha jab bi karta hai Sar-e-Bazar karta hai.

Hamary Rang sy hi in Nazaron men hai Rangeni,
Bahar-e-Nou ka Soraj bi Mera Dedar karta hai.

Koi Pochy agar Mera, Faqat itna Bata Dena,
Haseenon k Nagar men Dil ka Karobar karta hai.

Taqaza-e-Mohabat men Ajab Andaz hen Us k,
Idhar Tazem karta hai, Udhar Takrar karta hai...

Comments