Zara si baat na bhoolay kamaal ho tum bhi

Zara si baat na bhoolay kamaal ho tum bhi
Hamaara saath na bhoolay kamaal ho tum bhi

Wo choorriyaan wo kalaayi gul-e-hinaa ki mehak
Wo narm haath na bhoolay kamaal ho tum bhi

Har aik talkhi-e-umer-e-rawaan ko bhool gaye
Magar wo raat na bhoolay kamaal ho tum bhi

Jo reh gaye thay sar-e-shaakh is bahaar k khuwaab
Wo zard paat na bhoolay kamaal ho tum bhi

Tum apni sarhad-e-takmeel par bhi dost meri
Shikast-e-zaat na bhoolay kamaal ho tum bhi

Main jeet kar sapar andaaz ho chuki lekin
Tum apni maat na bhoolay kamaal ho tum bhi

Poetest: Samina Raees Nasheeb

Comments