Falak Deta Hai Jin Ko Aish Un Ko Gham Bhi Hote Hain

Falak Deta Hai Jin Ko Aish Un Ko Gham Bhi Hote Hain
Yahan Bajte Hain Naqaare Wahan Maatam Bhi Hote Hain

Gile Shikwe Kahan Tak Hon Gay Aadhi Raat Tu Guzri
Parishaan Tum Bhi Hote Ho Parishaan Ham Bhi Hote Hain

Hamaare Aansuon Ki Aab-Daari Aur Hi Kuch Hai
Ke Yun Hone Ko Raushan Gauhar-E-Shabnam Bhi Hote Hain

Hamaare Saath Hi Paida Hua Hai Ishq Are Naaseh
Judaai Kis Tarah Se Ho Juda Ho Ham Bhi Hote Hain

Tabiyat Ki Kazi Hargiz Mitaaye Se Nahi Mitti
Kabhi Seedhe Tumhaare Gesu-E-Pur-Kham Bhi Hote Hain
Poet: Daagh Dehelvi

Comments