Hum se na sahi ghairon se sahi Tumhen dil ka lagana aa to gaya

Hum se na sahi ghairon se sahi Tumhen dil ka lagana aa to gaya
Dunya me kisi k ho to gaye Tumhen pyar nibhana aa to gaya

Bethey ho kisi ke pehlu main Aankhon main chamakta pyar liye
Hum khush hain kisi k jeevan main Ye waqt suhana aa to gaya

Phoolon k khawab dikhaye mujhay Aur dey di baharain auron ko
Dil mera veeran raha bhi to kya Gul tum ko khilana aa to gaya

Dunya main kisi k ho to gaye
Tumhen pyar nibhana aa to gaya

Comments