Apne Seene Se Laga Kar Main Nishaani Us Ki

Apne Seene Se Laga Kar Main Nishaani Us Ki
Dil Ko Har Roz Sonati Hon Kahaani Us Ki

Aj Kyun Us Ko Manane Ki Ziden Sochta Hai
Dil Ne Kal Tak To Koi Baat Na Maani Us Ki

Phir Se Mil Kar Na Bichrne Ki Qasam Khaiye Ga
Soch Lena Ke Ye Aadat Hai Poraani Us Ki

Jab Bhi Dhonda Hai Usay Soorat e Darya Dhonda Hai
Aa Gayi Na Apni Tabiyat Main Rawani UsKi

Barf Pighli Hai Bohat Ab Ke Pahaarhon Se Udhar
Yaad Aayi Hai Bohat Sholla Beyaani Us Ki

Meri Har Subha Isi Fikar Main Guzri Azra
Kaisey Guzrey Gi Bhala Shaam Sohaani Us Ki

Poet Azra Batool

Comments