Wird jaari hai wajd taari hai

Wird jaari hai wajd taari hai
Kaifiyat ye bhi ikhtiyaari hai

Mujh diye ko talaash kar lo to
Meri sab roshani tumhaari hai

Kya zaroori ke tum ne jeeti ho
Har wo baazi jo main ne haari hai

Kaash deewar se sadaa aaye
Meri tasweer kiyon utaari hai

Sirf ik baat hai mera hona
Aur wo baat bhi tumhaari hai

Jism ik shaakh se bandhay huwe hain
Aur shajar waqt saans aari hai

Ab main ye ramz ka kis ko samjhaaon
Chaandni doodh ki dulaari hai

Soch daryaai ho samandari ho
Ye takhayyul to aabshaari hai

Taash k card par bana joker
Aik haara howa juwaari hai

Tum jo dekho to hai nazar talwaar
Aur ye talwaar chaar dhaari hai

Teesra koi bhi nahi Ammar
ik tamasha hai, ik madaari hai

Poet: Ammar Iqbal

Comments