Aik Aarzoo si hai mann mein

Aik Aarzoo si hai mann mein
k main jab Dobara Tum se miLon
to tumhari narm Goad mein sar rakh kar apne diL ke tamam gham keh daaLon

Apni Aankhon k sab Aansoo baha daaLon
Mohabbaton ke Tarse mann ko
uLfaton se sairaab kar Lon
zindagi ki khizaan ko Bahaar mein BadaL k rakh don

Lekin phir Najanay kyoun
DiL mein yeh khayaL aaya
k agar main tum say ek bar phir na miL saki
To diL k sab gham
Aankhon k sab Aansoo
zindgi ko aisi Banjar zameen ki manind na kar de
k jis mein kabhi
phooL nahi khiLa kartay

Comments