Sadion Se Insan Ye Sunta Aaya Hai

Sadion Se Insan Ye Sunta Aaya Hai
Dukh Ki Dhoop K Aage Sukh Ka SaYa Hai

Hum Ko In Sasti Khushion Ka Bojh Na Do
Hum Ne Soch Samjh Kar Gham ApnaYa Hai

Jhoot To Qatil Tehra Us Ka Kia Rona
Sach Ne Bhi Insan Ka Khoon BahaYa Hai

Paidaish K Din Se Mout Ki Zad Mein Hain
Is Maqtal Mein Kon Humain Le Aaya Hai

Awal Awal Jis Dil Ne Barbad Kia
Aakhir Aakhir Wo Dil Hi Kaam AaYa Hai

Utne Din Ahsan Kia Deewano Par
Jitne Din Logon Ne Sath Nibhaya Hai

Poet Sahar Ludhianvi

Comments