Lamha Bhar K Liye Yad Kar Bhool Ja

Ja Chuka Hai Us Ka Safar Bhool Ja
Khak Palkon Se Dho Rahguzar Bhool Ja

Ajnabi Ban K Dekh Us Ki Tasveer Ko
Yad Rakhne K Sare Hunar Bhool Ja

Phir Se Aabad Kar Dil K Pa Taal Ko
Us Ka Gaon Gali Baam O Dar Ko Bhool Ja

Orh Le Khud Pe Dunia Ki Sab Ronaqein
Zid Na Kar Ab Usay Chashm E Tar Bhool Ja

Yad Rakh Us Ki Baton K Sab Zaiqe
Us K Wadon Ki Lazat Magar Bhool Ja

Palkon Palkom Bicha Piyas Ki Tairgi
Aankh Mein Chandni K Bhanwar Bhool Ja

Us K Aane Na Aane Se Ab Darguzar
Apne Hone Na Hone Ka Dar Bhool Ja

Khud Se Wabasta Ruswaion Ki Tarha
Us Ki Shohrat Ki Taza Khabar Bhool Ja

Ab To Youn Hai K MOHSIN Har Ek Yar Ko
Lamha Bhar K Liye Yad Kar Bhool Ja

Comments