Ghar Bhi Soona Hai Meri Zeest K Aangan Ki Tarah

Ghar Bhi Soona Hai Meri Zeest K Aangan Ki Tarah
Laut Kar Waqt Na Aaya Meray Bachpan Ki Tarah

Gardish-e-Waqt K Roonday Huwey Insaanon Ka
Koi Muraf Nahi Tootay Huwey Bartan Ki Tarah

Mujh Ko Ghurbat Ne Dassa Us Ko Hawas Maar Gayi
Bik Gaya Wo Bhi Bahar-Haal Merey Fun Ki Tarah

Aap Chham Se Jo Tassawwur Mein Chalay Aaye Kabhi
Dil Dharrakne Laga Bajti Huwi Jhanjan Ki Tarah

Kuch Mera Zauq-e-Samaat Bhi Behak Jaata Hai
Kuch Terey Paaon Ki Aahat Bhi Hai Dharrkan Ki Tarah

Kar K Ghaayel Mujhe Us Ka Bhi Bura Haal Huwa
Us Ki Zulfein Bhi Na Suljhi Meri Uljhan Ki Tarah

Jaanay Kiya Baat Hai Jalta Hai Hassad Karta Hai
Gham-e-Duniya Gham-e-Mehboob Se Sokan Ki Tarah

Comments

Post a Comment