Barsar e koocha e aghiyaar utha laaye hain
Ye kahaan mujh ko mere yaar utha laaye hain.
Aap par waar huway main ne wo seenay pe liye
Aur ab aap bhi talwaar utha laaye hain.
Rait mein phool khilaana hamein aata hai so hum
Arsa e dasht mein ghar baar utha laaye hain.
Un k asloob e fazeelat se pata chalta hai
Ye kisi aur ki dastaar utha laaye hain.
Jab khula naama e aimaal to hum ne jaana
Jo utha laaye hain be'kaar utha laaye hain.
Main na yousuf hoon na sajjad hoon Fartash ye log
Kiyon mujhay barsar e baazaar utha laaye hain.
Poet: Fartash Syed

Comments
Post a Comment