Jab Kisi ki Aankhon Se, Mastiyaan Chalakti Hain

Jab Kisi ki Aankhon Se, Mastiyaan Chalakti Hain
Khud Ghataaen Uthti Hain, Bijliyaan Chamaki Hain

Ghar kisi ka Aandhi Mein Jab Ujarrne Lagta Hai
Cheekhte Hain Darwaaze khirrkiyaan Sisakti hain

Waqt ka Taqaaza hai Dushmani karo Sab Se
Chaahaten Zamaane ki Naganon Si Dasti hain

Shehar-e-Dil ujarrta hai, Dekhiye kiya ho ab
Arzoo ki Tooliyaan ab kahaan pe Basti Hain

Zehniyat k Shehron mein, Kaisi ye Dukaanen Hain
Mehnge hain Khuloos-o-Piyaar aur Jaanen Sasti hain

Tum Jhuki Nigaahon k Saamne Hi ho
Jaane kiyon Nigaahen Phir Deed ko Tarasti Hain

Comments