Mashwara-e-Muhabbat
Muhabbat tum ne danista ganwaai thi.!
Tou behtar hai k ab us ko bhula daalo
K ab pachtanay se bhi kuch nahi hoga
Ye tum ko barha hum ne kaha bhi tha
Suno jana!
Gulabon se ye lamhay hain
Inhein khonay se pehlay hi sambhal jao
Khizan se dosti karna nahi acha
Magar tum ko tou zid si thi mitanay ki jalanay ki ganwanay ki
Jo tum ne aag bharkai thi haathon se
Tumharay apny daaman tak bhi aa pohnchi tou rotay ho?
Suno! pachtanay se bhi kuch nahi hoga
Muhabbat tum ne danista ganwaai thi.
To behtar hai k ab usko bhula daalo...!!
Muhabbat tum ne danista ganwaai thi.!
Tou behtar hai k ab us ko bhula daalo
K ab pachtanay se bhi kuch nahi hoga
Ye tum ko barha hum ne kaha bhi tha
Suno jana!
Gulabon se ye lamhay hain
Inhein khonay se pehlay hi sambhal jao
Khizan se dosti karna nahi acha
Magar tum ko tou zid si thi mitanay ki jalanay ki ganwanay ki
Jo tum ne aag bharkai thi haathon se
Tumharay apny daaman tak bhi aa pohnchi tou rotay ho?
Suno! pachtanay se bhi kuch nahi hoga
Muhabbat tum ne danista ganwaai thi.
To behtar hai k ab usko bhula daalo...!!

Comments
Post a Comment