Fusoon-e-harf le gaya, tilism-e-khwab le gaya,

Fusoon-e-harf le gaya, tilism-e-khwab le gaya,
Warq warq usi ka tha wohi kitaab le gaya,

Abhi nigaah jhuki na thi, ke main ne hont rakh diye,
Sawaal woh na kar sakaa, magar jawaab le gaya,

Mujhe pataa tha raah men chiraagh jal na paayega,
wahaan gayaa to apne saath maahtaab le gaya,

Frogh-e-jism-e-taaza se, khumaar rang-e-ghazaa se,
Nashaa boht barha gaya, magar sharab le gayaa,

Meri azal ki tishnagi, bujhaa gaya wo narm dil,
Ishaat-e-aab de gaya, gham-e-saraab le gaya,

Tha dekhne men saada dil, magar barha zaheen thaa,
Mujhe gunaah_gaar kar ke, vo sawaab le gaya,

Nigaah-e-imtiyaaz ka shikaar ma hua Imam,
Yahan Wo khar de gaya, Wahan Wo Gulab De Gaya..!

Comments