Chiraag e dasht say zinda jala gaya mujko...

Chiraag e dasht say zinda jala gaya mujko...
ye dard raat k lamhon mein kha gaya mujko

hamen to phool ki khushbu pe neend Aati thi
na jane khaak pe kaise sula gaya mujko

yahan to waqt ki Aankhon se khoon tappakta hai
ye mezbaan kahan pr bitha gaya mujko

tere hijaab ko chhu kar hawaen Aati hain
yehi khayal to pathar bana gaya mujko

hamare zabt ki dunya misal deti thi
m0hsin
nikal ke Aankh se Aansu rula gaya mujhko...

Comments