Na Simat Saka Us K Mere Dard Ka Faasla.

Na Simat Saka Us K Mere Dard Ka Faasla.

Karein Zindagi K Sapurd Kya, Ye To Silsila Hai Malaal Ka..

Mere Aaienon Mein Jami Rahi, Wo Jo
Raig_e_Dasht_e_Firaq Thi.

Mujhe Phir Aseer Na Kar Saka, Koi Rang
Maazi_o_Haal Ka..

Kahein Kisay Koi Kya Sunay, Ye
Hadees_e_Dil Ka Mua'mla.

Na Fasana Laila_o_Qais Ka,
Na Qissa Heer Sayyal Ka..

Jisay Khojta Hi Raha Sada Us K Harf Harf Mein Roz_o_Shab.

Us Ki Aankh Mein Tha Chupa Hua Wo Jawaab Mere Sawaal Ka...

Comments