Deep Story Of Shehar e Quaid

Deep Story Of Shehar e Quaid

Shehr e Quaid ki kahaani mai sunao kaise

Asmaan rang huwa karta tha is paani ka
Khauf hota hi nahi tha kahin tuGhyaani ka
Koi zarra na tha sahil pe praishaani ka
Aankh mai rang na aata tha peshaimaani ka
Ab samundar ka lahu rang dikhaon kaise
Shehar e Quaid ki kahaani mai sunao kaise

Roshni raqS kiya krti thi bazaroN maiN
Ik jhmaila sa lga rehta tha GulzaroN maiN
Amn ki pyar ki chain aur sakooN ki khbraiN
AaNkh khulte hi mila krti theeN akhbaroN maiN
Har gali koochay se ab laashaiN uThaoN kaise
Shehr-e-Quaid ki kahaani maiN sunaoN kaise

Ab tau wo haal hai keh lijay koi haal nahiN
Khoon ki surKhi se ab Khaali koi Daal nahiN
Ab koi rota hai maaN ko tau koi baba ko
Ab kahiN ujRi huwi kokh hai aur laal nahiN
Khoon roti huwi aaNkhoN ko bhulaoN kaise
Shehr-e-Quaid ki kahaani maiN sunaoN kaise

GoliyaaN chalti haiN aur laashaiN gira karti haiN
Ghar bhi jalte haiN masaajid bhi jala karti haiN
Laash par hone lagi ab tau syaasat aise
Khoon ki nehraiN sar-e-raah bahaa karti haiN
HukmraanoN kay nqaaboN ko uThaoN kaise
Shehr-e-Quaid ki kahaani maiN sunaoN kaise

Kaash ye aah-o-bukaa charKh-e-kohan tak pohNchay
Ye Sadaa mairi har ik ahl-e-watan tak pohNchay
Is se baRh kar bhi sitam ho ga koi kya Aashi
Khoon kay cheeNtay tau Quaid kay kafan tak pohNchay
Apne Quaid se nigaahoN ko milaoN kaise
Shehr-e-Quaid ki kahaani maiN sunaoN kaise

Poet: Aisha Baig Aashi
Deep Nazam

Comments