Suna hai junglon ka bhi koi dastoor hota hai

Suna hai junglon ka bhi koi dastoor hota hai

Suna hai sher ka jab pait bhar jaaye
to woh hamla nahi karta
darkhton ki ghani chaon main ja kar let jaata hai

Hawa ke tez jhonke jab darkhton ko hilate hain
to maina apne bacche chor ke
kawwe ke andon ko paron se tham leti hai

Suna hai ghonsle se koi bachha gir pare to
sara jungle jaag jaata hai

Suna hai jab kisi naddi ke paani main
baye ke ghonsle ka gandumi saaya larazta hai
to naddi ki rupehli machlian use parosi maan leti hain

Koi toofan aa jaaye koi pul toot jaaye
to kisi lakri ke takhte par
ghilari, saanp, bakri aur cheetah saath hote hain

Suna hai junglon ka bhi koi dastoor hota hai

Khuda wanda, jaleel-o-mautabar,
daana-o-beena, munseef-o-akbar
mere is shahr main
ab janglon hi ka koi qanoon naafiz kar

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

Comments