Wo khuwab jo barson se rawaan meri taraf hai

Sab phool idhar ehad-e-khizaan meri taraf hai
Sood un ki taraf aur ziyaan meri taraf hai

Un logon ki imdad pe mabos hon jin ke
Dil janib-e-dushman hain zubaan meri taraf hai

Pehle to kisi lau ne mera haath na thaama
Ab saray charaghon ka dhuwan meri taraf hai

Is baar giraon ga faseel-e-shab-e-hijraan
Is baar har ik sokhta jaan meri taraf hai

Jo faisla hona hai wo ho jaye isi waqt
Kon us ki taraf kon yahan meri taraf hai

Pohncha hi nahi aankh ki dehlez pe ab tak
Wo khuwab jo barson se rawaan meri taraf hai

Ab dekhiye kya guzry mere kaasay pe Azad
Sunta hon k aawaz-e-sagaan meri taraf hai

Comments