Wo hum se ishq ka izhaar kar ke

Wo hum se ishq ka izhaar kar ke
Gaya hai rooh ko sarshaar kar ke

Utaara hai ussay rooay zameen par
Khuda ne hussn ka shahkaar kar ke

Larrakpan hi se hum ne takht-e-dil par
Bithaaya hai ussay sarkaar kar ke

Main aksar sochta rehta hoon, uss ko
Khuda se maang loon israar kar ke

Main kab se aa k saahil par kharra hoon
Chalay bhi aao dariya paar kar ke

Na'jaane kis gali mein kho gaya wo
Hamaari zindagi dushwaar kar ke

Wo khud bhi phir kahaan soya sakoon se
Khumar aankhon ko shab bedaar kar ke

Poet: Suleman Khumar

Comments