Us Dil Nashin ke Dil se Yehi aik Gila hai

Titli ki Tarah Rung e Par Azeez to Rakhta
Gul Noch leta Thori si Tameez to Rakhta

Jaate huwe jo Mere Sukhan Bech gaya hai
Kuch aur Na rakhta Magar ye Cheez to rakhta

Ay Nafs Tujhe iShq ne Yaksar kia Kharaab
Daman ko karta Chaak Par Kameez to rakhta

Us Dil Nashin k Dil se Yehi aik Gila hai
Na Takht_o_Taaj Deta Par Hafeez to rakhta

Dunya k Munh mein hoti sirf Khaak Faqat Khaak
Kuch Raaz k Pardon ko Wo Dabeez to rakhta

Piyalay ki Jagah Lab ka Bharam Mujhko Dikhata
Koi Or Na rakhta Magar NaCheez to rakhta

Main Moom ho Chala tha Agar apni Baat ko
Wo Tool De k Thora sa Areez to Rakhta

Mere YasoOh ka Zarf bhi Hota Na Daghdaar
Karta Na Dawa Na sahi Mareez To rakhta

Aik do Ramz To bhi Agar Janta RAZAB
Main Tera laQab Shoq se Rameez to Rakhta

Comments