Mere saaye ki tarah mujh se jo paiwasta hai

Mere saaye ki tarah mujh se jo paiwasta hai
Wo bhi aghmaaz baratnay pay kamar basta hai

Wasl tanhaai ne aaeinaa dikhaaya to khula
Mere haathon mein kisi aur ka guldasta hai

Dil kusha jis ka tabassum hai shaguftaa hai jamaal
Waaye ay shoomi-e-qismat k wo dil basta hai

Aiesh-e-dauraa'n ne badan khaiz tarangain bakhsheen
Taaer-e-nakhl-e-gumaa'n phir bhi bohat khasta hai

Hum'safar hai mera aaghaaz-e-safar ka nuqtaa
Khatm hota hi nahi, sehar'zada rasta hai

Shaaer-e-fikr-e-yagaana k mazaahir ka fusoon
Gulshan-e-khuwaab ki be'daari se waabasta hai

Poet: Saadat Saeed

Comments