Kahan gayi wo bachon jaisi naram hansi

Bahar bahar phail gayi wo dhoop karri jo andar thi
Rafta rafta sookh gayi wo shaakh hari jo andar thi

Ab to har izhaar se jaisay jhaank rahe hain saaray dukh
Kahan gayi wo bachon jaisi naram hansi jo andar thi

Ek raste par chaltay chaltay bhool gayi main sab raste
Charon jaanib jaa nikli wo aik gali jo andar thi

Pehlay in aankhon mein utri, phir lehjey phir chehray par
Phir malbos tak aa pohanchi wo berangi jo andar thi

Main ne imkanaat ki hadd tak ja kar khud ko dhoonda hai
Lafzon mein dhalnay nahi payi hairaani jo andar thi

Aksar apne jism ki matti goondhi apnay ashkon se
Tab Itnay rangon mein ubhhri maadoomi jo andar thi

Youn to likhti rehti hon main sab kuch kore kaghaz par
Lafzon mein aa hi nahi payi khushfikri jo andar thi

Comments