Mere darya tera paani nahi bharna mujh ko

Mere darya tera paani nahi bharna mujh ko
Acha lagta hai youn hi pyaas se marna mujh ko

Dost ye teri sahoolat k liye kehta hoon
Ab zara soch samajh kar juda karna mujh ko

Aik pathar hoon mujhe phool samajh kar mat rakh
Bhaari parr sakta hai youn raah mein dharna mujh ko

Sair karne mein idhar roz chala aata hoon
Khench laata hai teri yaad ka jharna mujh ko

Ab to ye baat bhi tasweer bataati hai mujhe
Kon sa rang parre ga kahaan bharna mujh ko

Comments