Khuwaab aaraam nahi khuwaab pareshaani hai

Khuwaab aaraam nahi khuwaab pareshaani hai
Mere bistar mein azziyat ki farawaani hai

Mujh ko to wo bhi hai maloom jo maloom nahi
Ye samajh boojh nahi hai meri nadaani hai

Kuch ussay sochnay deta hi nahi apne siwa
Mera mehboob to mere liye zindaani hai

Hai museebat mein girftaar museebat meri
Jo bhi mushkil hai wo mere liye aasaani hai

Mauja-e-may hai bohat mere sakoon par betaab
Zabt-e-girya se mere jaam mein tughyaani hai

Main gunehgaar-e-tamanna hoon mujhe qatal karo
Dil to haara hai magar haar nahi maani hai

Poet: Akbar Maasoom

Comments