Khuda jane meri ankhen kahan hain

Likhon khwabon ki arzani yahan par
Ke hai ankhon ki werani yahan par

Yahan par sang hai zanjeer bhi hai
Muyasar chaak damani yahan par

Hai dil kuway wafa ka sakht munkir
Le ayi phir bhi nadani yahan par

Kanez is se nahi agay barhe gi
Ayan hai mohar-e-sultani yahan par

Banane hain mujhe matti se bartan
Tumhen haq-e-jahan baani yahan par

chale aao karenge sair-e-hasti
Ke hai fitrat ki jolani yahan par

Pehn lo poshish alfaaz lekin
Fuzon tar ho gi uryani yahan par

Khuda jane meri ankhen kahan hain
Abhi rakhi thi herani yahan par

Sehar taaza hawa mein sans lon main
Nahi itni bhi aasani yahan par

Comments