Jis roz se huwi hai meri hum nafs se jang
Tab se hi chal rahi hai badan ke qafas se jang
Imkaan ki hadon se nikal kar bhi dekh lo
Main kar raha hon apni fiza ki oumas se jang
Main hon anaa k koh-e-falak bose ka raqeeb
Mujh ko rawaa nahi hai kisi khaar-o-khas se jang
Har aik pankhari se ghiza choos li gayi
Phoolon ki dair tak rahi jaari mugas se jang
Is natawani-e-shab-e-gham mein bhi ay Wali
Karta raha hon roz mein do chaar das se jang

Comments
Post a Comment