Inkaar Kya Karay Gi Hawa Mere Saamnay

Inkaar Kya Karay Gi Hawa Mere Saamnay
Ghar Ka Har Ik Charaagh BuJhaa Mere Saamnay

Us K Khuloos Mein B Zaroorat Ka Rang Tha
Wo Day Raha Tha Mujhko Duaa Mere Saamnay

Mujhse Bichar K Khat Mei Likhi Usnay Dil Ki Baat
Kyon Us Ko Hausla Na Huwa Mere Saamnay

Dil Per Hai NaQsh, Lutf E Azeezaan ka Silsila
Sab Per Karam Wo Mere Siwaa Mere Saamnay

Wo Jhoot Hi Sahih Mujhay Yun B Azeez Hai
Kehna Tha Jo B Usnay Kaha Mere Saamnay

Kal Tak Jo Aainay Se Bhi Naazuk MizaaJ Tha
Wo Shakhs TooT Gaya Mere Saamnay

Comments