Ghoonghat gira ke or kabhi ghonghat utha ke main
Kaghaz pe dekh leta hon dulhan bana ke main
Koi nahi hay meray liye chshm e muntazir
Jata nahi hon ghar say kisi ko bata ke main
Be sudh parra huwa hon main bistar pe is tarha
Leta hon jesay qabar me khud ko daba ke main
Aaya tha mujh say milnay wo aaya tha ya nahi
Ab pochta nahi hon kisi say bhi ja ke main
Ab to tujhay bhi khud ko bhi main bhool jaon ga
Naraz na hon aap to ik baat poochh lon
Khush kiyun nahi hon ap ko apna bana ke main
Yousuf kisi b shakhs ko aana nahi to phir
Rakhta hon kis ke wastay kamra saja ke main

Reviewed by Murad Khan
on
April 13, 2016
Rating:

No comments: