Aankh sad rang e nazaara se bhari aati hai

Aankh sad rang e nazaara se bhari aati hai
Kis kharaabay se meri shab basari aati hai

Jis tarah mauja e khushbu hai hawaa ke humrah
Khas o khashaak ko kab humsafari aati hai

Meli aankhon se kahaan khuwaab dikhaayi day ga
Jheel mein chaand utarta na pari aati hai

Pairr bebarg o samar hotay huwe dekhay thay
Kya parindon pay bhi bebaal o pari aati hai

Hum to har ehad ki laashon pay hain ronay walay
Apne hissay mein to bas nohagari aati hai

Iss se aagay bhi kaheen par hai koi shehr e wisaal
Aur uss shehar mein ugg baara dari aati hai

Aap naqqad bhallay shair na kahiye sahib
Aib beeno mein kahan khush nazari aati hai

Baithy baithay mein ye kis dheyaan mein kho jaata hoon
Kin zamaanon ki mujhe bekhabari aati hai

Kis bashaarat se Iawain jhoomnay lag jaati hain
Inn charaaghon ko ye kya khushkhabari aati hai

Poet: Ashraf Yousafi

Comments