Aamd e gul se junoon ki aik aasaani jo thi

Aamd e gul se junoon ki aik aasaani jo thi
Taaza kar di main ne rasm e chaak daamani jo thi

Aap apni mehviyat mein kya kamaal hussn thi
Khaal o khat mein us k ik khuwaabon ki hairaani jo thi

Boye gul mein parda e khalwat sa koi ramz tha
Rang e may se hai labon ki ik sukhandaani jo thi

Naqsh-e-nau apni jagah aaeina gaah apni jagah
Dil ki weerani magar hai dil ki weerani jo thi

Aakhri nashtar tha dil par uss ka murr kar dekhna
Reh gayi hai zakham dil mein ik giraan jaani jo thi

Poet: Aziz Hamid Madani

Comments