Shikast Khaa Ke Bhi Surkh roh Sa Lagta Hon

Shikast Khaa Ke Bhi Surkh roh Sa Lagta Hon
Ke Dosti Ka Maza Dushmanon Ki Chal Me Tha

Kharaash Thi Mere Badan Par Ke Wahim Ankhon Me
Tamam Bhaid To Tere Aainay Ke Bal me Tha

Mein Totay Huway Pattay Sanbhalta Kab Tak
Ke Zard Zehar To Pairoon Ki Dhaal Dhaal Me tha

Tera Khuloos Parakhnay Ka Waqt Hi Na Mila Mujhay
Ke Me Aseer Teri Nafraton Ke Jaal Me Tha

Kab Usnay Tot Ke Chaha Tha Yon Mujhay Mohsin
Ye Mojza Bhi Huwa Ab Ke Mah-O-Sal Me Tha

Comments