Kiya karti hoon tanhai mein ashkon se wuzu aksar

Kiya karti hoon tanhai mein ashkon se wuzu aksar
Tassawur mein raha karti hai tujh se guftugu aksar

Teri ankhon mein khud ko dhoondti hoon is liye shayed
K apni hi raha karti hai mujh ko justuju aksar

Takkaa karti hoon tanha beth kar pehron jo phoolon ko
Tumhari un mein hoti hai shabahat hubahuu aksar

Wo raaz-e-dil jisey phoolon ki surat dil mein rakha tha
Usi ki to mehek phailli hai jaana chaarsu aksar

Sadaf deen-e-wafaa ka dum to sab bhartay hain lekin kyon
Isi k naam par galiyon mein behtaa hai lahuu aksar

Comments