Dasht e darya ki ye us paar kahan tak jati

Dasht e darya ki ye us paar kahan tak jati
Ghar ki deewar thi deewar kahan tak jati

Mit gayi hasrat e deedar bhi rafta rafta
Hijar mein hasrat e deedar kahan tak jati

Thak gaye hont tera naam bhi lete lete
Aik hi lafz ki Takraar kahan tak jati

Tu bohat dour bohat dour gaya tha mujh say
Meri awaz mere yaar kahan tak jati

Har taraf hussn ke bazaar lagay thay
Meri chashm e
kharidar kahan tak jati

Comments