Agar Ehad E Wafa ke bad bhi koi mukar jaye

Agar Ehad E Wafa ke bad bhi koi mukar jaye
Mohabbat Par bhi Lazim hai ke wo kuch Khaa ke mar jaye

Mujhe dil toot jane ka Gham nahi hoga Khushi hogi
Agar Ye toot kar tere hi Qadmon main bikhar jaye

Yahan jo Sang E Bari ka maza hai wo kahan hoga
Nikal ke tere koche Se Ye dewana kidhar jaye

Ye mera Deeda E Tar dil ki janib Kyun nahi murrta
Munasib hai Ye dariya Bhi Samundar main utar jaye

Hamen us ki mohabbat ka hua kuch tajurba Aesa
Ke Ab Apni wafa us ki Inayat Se Bhi dar jaye

Qateel Ab ke bøhat ruswa hua Aey Kocha E Janan
Ijazat de ke Ye Pagal Palat Ke Apne Ghar jaye

Comments