Ab to khwahish hay ke ye zakham bhi kha kar daikhain

Ab to khwahish hay ke ye zakham bhi kha kar daikhain
lamha bhar ko he sahi usko bhula kar daikhain

sheher me jashn e shab e qadar ki saaat ayi hay
aaj ham bhe teray milnay ki dua kar daikhain

zindage Ab tujhay sochain bhe to dam ghutta hay
ham nay chaha tha kabhe tujh say wafa kar daikhain

ronay walon ke to hamdard buhat hain M0HSIN
hanstay hanstay kabhe dunia ko rula kar daikhain

Comments