Wo haath lagta hai ajeeb kisi aur k haathon mai

Wo haath lagta hai ajeeb kisi aur k haathon mai
Jin haathon ki toti theen churriyan mere haathon mai

DaaGh e Gham roz e azal hi mil gaya aay ishq
Tann me jaan aane se pehlay gaya dil tere haathon mai

Kitna janon tha teri be niyazi mai
Jisay banna tha aesh wo sog bana tere haathon mai

Ba khabar thay achi tarha aandhi ki fitrat se
Phir bhi arrAy rahay ke bikharna tha teray haathon mai

Nahi tha maloom hamen un sapnon ke totne ka
Jo bunnAy thay un chandni raaton mai

Teri dushman ho gayi duniya jab se shafiq
Khilona ban gaye ham ahbaab ke haathon mai

Comments