Udasiyon ka ye mosam badal bhi sakta tha

Udasiyon ka ye mosam badal bhi sakta tha
Wo chahta to mere saath chal bhi sakta tha

Wo shakhs jisay tum ne chornay mai jaldi ki
Teray mizaaj ke saanchay mai dhal bhi sakta tha

Wo jald bazi mai khafa ho ke chal diya warna
Tanazaat ka koi hal nikal bhi sakta tha

Anaa ne Hath uthanay nahi diye warna
Meri Dua se wo Pathar pighal b sakta tha

Tamaam umar tera muntazir raha faraz
Yeh or baat k wo raasta Badal bhi sakta tha

Comments