Ab Shoq e Safar Khwahish e Yakjaayi Bohat Hai
Dushman Hi Milay Raah Main Tanhayi Bohat Hai
Hum Kon Se GHALIB Thay K Shohrat Hamain Milti
Dunya Teri Itni Bhi Pazeerayi Bohat Hai
Zakhmon Ki Numaaish Ka Saleeqa Nahi Hum Ko
Wo Hain K Unhain Shoq e Masihaayi Bohat Hai
Logon Se Tarruf Na Koi Jaan Na Pehchan
Dil Hai K usi Bazm Ka Shedaayi Bohat Hai
Galiyon Main Magar Koi Dareecha Nahi Khulta
Aapas Mein Yahan Shor e Shanasayi Bohat Hai
Shaamien Hain Bohat Veraan Barsaat Mein MOHSIN
Kehne Ko Bhara Shehr Hai Tanhaai Boht Hai

Comments
Post a Comment