Aankhen khuli Rahen Gi To Manzar Bhi AayEn Gay

Aankhen khuli Rahen Gi To Manzar Bhi AayEn Gay
Zinda Hai Dil To Aur SitaMgar Bhi AayEn Gay

PehcHan Lo Tamaam Faqeeron ke khd o khaal
Kuch Log Shab ko Behs Badal kar Bhi Aayen Gay

Gehri khamosh Jheel ke Pani ko Yun Na Cherr
Chintay Urray To Teri Qaba Par Bhi Aayen Gay

Khud ko Chupa Na Shisha Garon ki Dokaan Mai
Shishay Chamak Rahe Hain To Pathar Bhi Aayen Gay

Us Ne kaha Gunah ki Basti Se Mat Nikal
Ek Din Yahan Haseen PeyamBar Bhi Aayen Gay

Ay sheher e Yaar Dasht Se Fursat Nahi Magar
Niklay Safar Pe Hum To Tere Ghar Bhi Aayen Gay

Poet.
Mosan Naqvi

Comments