Tazad e Jazbat main yeh nazuk muqam aya to kya karo gay

Tazad e Jazbat main yeh nazuk muqam aya to kya karo gay
Main ro raha hoon to hans rahay ho Main muskuraya to kya karo gay

Mujhe to is darja waqt e rukhsat Sakoon ki talqeen kar rahay ho
Magar kuch apne liye bhi socha main yaad aya to kya karo gay

Abhi to tanqeed ho rahi hai mere mazaq e junoon pe lekin
Tumhari zulfoon ki barhami ka sawal aya to kya karo gay

Tumharay jalwoon ki roshni main nazar ki hairaniyan muslim
magar kisi ne nazar ke badle jo dil azmaya to kya karo gay

Utar to sakte ho paar lekin maal par bhi nigah daalo
Khuda na karda sakoon e sahil na raas aya to kya karo gay

Kuch apne dil par bhi zakhm khaoo mere lahoo ki bahar kab tak
Mujhe sahara banane waloo main larkharaya to kya karo gay

Abhi to daman chura rahay ho bigar ke Qabil se jaa rahay ho
Magar kabhi jo dharknoon main shareek paya to kya karo gay

By Mohsin naqvi

Comments