Tarap rahi hai har ik tamanna Na unse milte Na aisa hota

Tarap rahi hai har ik tamanna
Na unse milte Na aisa hota

Bujhi bujhi si hai dil ki duniya
Na unse milte Na aisa hota

Hum aisi mehfil mein kaise jayen
Jahan ke manzar hamein jalayen

Agar hai jalna Jalain gain tanha
Na unse milte Na aisa hota

Na chain aaye Na mout aaye
Na jee rahe hain Na mar rahe hain
Kahan tha pehle ye haal Apna
Na unse milte Na aisa hota

Comments