Saja Ke Aankhon Mein Khwab Rakhna

Saja Ke Aankhon Mein Khwab Rakhna
wafa ke rishte gulab rakhna

faseel e shab mein chiragh ban kar
ye zindagi mahtaab rakhna

yun ishq ka imtehan dena ke dil ke badly mein jan dena
jo chand chunne ki aarzu ho to justuju lajwab rakhna

hazaar batein banaye dunya hazaar dil ko dukhaye dunya
bhula ke sari aziyaton ko utha ke kaante gulab rakhna

kabhi zamane se chhup chhupa k sakoot e shab me diye bujha ke
hatheliyon ko dua ki shamma to aankh apni chanab rakhna

adawtein bhi Khuda ki khatir mohabten bhi Khuda ki khatir
adawten bas gini chuni hon mohabbatein be hisaab rakhna

Comments