Yeh zindagi hai meri is par haq hai mera
iss per haq jatana nahi hai haq tera
iss per haq jatana nahi hai haq tera
Iss ka har faisla hai marzi meri
Nahi qabool mujhe koi bandish teri
chahat hai sambhalne ki to sambhalo apni zindagi
Khud ka hausla hai buland itna
Nahi zarorat tere sambhalne ki
Ab asoolon se na bandhegi zindagi meri
Teri salah aur faislon par na chalegi zindagi meri
Ab yehi ek asool hai baqi, issi per guzarni hai zindagi,
Ke jeena hai tou jiyo apni khushi se
Jee kar khush hona hai,tou suno apne dil ki
Kyun ke suni agar ab iss duniya walon ki
Tou jee kar bhi jee nahi paoge
Khush hokar bhi muskura nahi paoge
Itna mat socho yeh baat hai zara si
Yeh zindagi hai meri iss per haq hai mera
Iss per haq jatana nahi hai haq tera
Comments
Post a Comment