Rukh Se Utra Naqab Pathar Ka

Rukh Se Utra Naqab Pathar Ka
Maine Daikha Gulab Pathar Ka
Jheel Si Aankh Hi Qayamat Thi
UsPe Tapka Wo Aab Pathar Ka

Mujh Ko Shaur Bakhshne KeLiye
UsNe Likha Nisab Pathar Ka
Maine Khushboo Sa Ik Sawal Kia
UsNe Bheja Jawab Pathar Ka

Chand Ulfat Ka Jis Ko Samjha Tha
Tha Wo Ik Mehtab Pathar Ka
Chot Kha K Bhi Chup Raha Wo
Hosla Hai Janab Pathar Ka

Mujh Ko MaAloom Tha Main Rowon Gi
Maine Daikha Tha Khawab Pathar Ka
Phool Si Rooh Par Mairi Logo
Kaisa Utra Azab Pathar Ka

Zulam Ab Aur Barh Na Paye Ga
Aa Gaya Inqlab Pathar Ka
Maira Hi Hosla Tha Maine Kia
Gul Chorr Kar Intkhab Pathar Ka

Log Roein Gy NAZI Kho K Tujhy
Ab Karo Khatam Baab Pathar Ka

Poetess
Nazia Kanwal Nazi
Book Tanha Chaand

Comments