Mujhe na saans Aati hai na mera dam nikalta hai

Mujhe na saans Aati hai na mera dam nikalta hai
Magar ye beech ka aalam bohat takleef deta hai

Samandar na nigalta hai
na saahil per patakhta hai
Magar ye doobna ubharna bohat takleef deta hai

Jo tum bolo sanwar jayen jo tum bolo bikhar jayen
Magar ye tootna jurna bohat takleef deta hai

Jo tum maano to batlayen jo tum samjho to samjhayen
Tumhare bin adhoora pan bohat takleef deta hai

Comments