Meri aankhon mein aise us ka chehra saans leta hai

Meri aankhon mein aise us ka chehra saans leta hai
Samandar mein utar kar jaise dariya saans leta hai

Meri tanhaaiyon mein jo shareek e fikar rehta hai
Meri Ghazalon mein har pal us ka lehja saans leta hai

Na chairro is ko rehne do magan apne tasawwur mein
Ye deewaana isi mein lamha lamhaa saans leta hai

Zara si dair thehro tund lehro hausla kar lo
Kisi ki yaad mein dooba kinaara saans leta hai

Kisi bhi morr par rukta nahi manzil se pehle main
Mere qadamon se to manzil ka rasta saans leta hai

Koi andaaza us k karb ka kar hi nahi sakta
Ba nok e khaar jo shabnam ka qatra saans leta hai

Jo manzar hai pass e manzar mein bhi us ki kahaani hai
Haqeeqat k libaade mein fasaana saans leta hai

Baraabar daikhta rehta hai meri aankh ki hairat
Tahayyur k falak par jo sitaara saans leta hai

Kiya karta hoon main mahsoos lams e jaan e WARD us mein
Mere aangan main jo khushboo ka jhoonka saans leta hai

Comments