Main Aadmi Houn Aam sa

Main Aadmi Houn Aam sa
Ek Qissa Na Tamam sa

Lehja BeMisal hai
Naa Baat Mein Kamaal Hai

Houn Dekhnay Mein Aam sa
Udasioun ki Shaam sa

Jaisay k ik Raaz Houn
Khud se BeNiaz Houn

Na Mahjabeenon se Rabt Hai
Na Shuhratoun ka Zabt Hai

Ranjha Houn Naa Qais Houn
Insha Houn Naa Faiz Houn

Main Paikar e Ikhlaas Houn
Wafa Dua Aur Aas Houn

Main Shakhs Khud Shanaas Houn
Tum He Karo Ab Faisla
Main Aadmi Houn Aam sa
Ya Phir Buhat He Khaas Houn
Main Aadmi Houn Aam sa Main Aadmi Houn Aam sa Reviewed by Murad Khan on December 25, 2015 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.