Kuch is tarah mera ehed e shabaab guzra hai

Kuch is tarah mera
ehed e shabaab guzra hai
sulagti rait se jesay chanaab guzra he

wo zakhm dene se pehle ye jaan hi leta
ke hum pe hijar main kia kia azaab guzra he

phir imtihaan liya mere zarf ka us ne
phir aj hansta hua be naqaab guzra hai

nigaah e shoq faqat teri paasdaari main
kahan kahan se ye
izzat maab guzra he

abi to li he mere
hirz e jaan ne angrahi
abi kahaan mera
yom e hisaab guzra he

yahi nahi ke mere khwab us ne cheenay hain
wo meri neend b kar k khraab guzra he

Hai meri soch pe IQBAL dastras us ki
Woh kholta huwa yadon k baab guzra hai

Comments